hai apne qatl ki dil-e-muztar ko ittilaa
gardan ko ittilaa na KHanjar ko ittilaa
be-parda aaj niklega parda-nashin mera
kar de ye koi mahr-e-munawwar ko ittilaa
chhup-chhup ke ab jo niklo to malum ho maza
kar di hai main ne aap ke ghar bhar ko ittilaa
bulbul na baz aaiyo fariyaad-o-ah se
kab tak na hogi qalb-e-gul-e-tar ko ittilaa
kis tarah kar diya dil-e-nazuk ko chur chur
is waqia ki KHak hai patthar ko ittilaa
kya kaam inqalab ka kuchh bhi nahin yahan
daur-e-falak ke daura-e-saghar ko ittilaa
haT jae ek taraf but-e-kafir ki rah se
de koi jald dauD ke mahshar ko ittilaa
chalne bhi wo na pae the apne maqam se
pahle se ho gai dil-e-muztar ko ittilaa
main saKHt-jaan hun qasd kare dekh-bhaal kar
pahle se ho gai hai ye KHanjar ko ittilaa
'parwin' riyaz-e-KHuld mein kis kis ko jam den
pahle se hai ye saqi-e-kausar ko ittilaa

Ghazal
Hai apne qatl ki dil-e-muztar ko ittilaa
Parveen Umm-e-Mushtaq