اردو हिंदी
Hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye | Shaahi Shayari
hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye

Ghazal

Hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye

Mirza Husain Ali Mehnat

;

hai ankhDiyon mein nind to ek kaam kijiye
ye bhi to ghar hai aap ka aaram kijiye

ye zoaf hai ki pahunche hai ta-subh ruKH talak
gar zulf par nigah sar-e-sham kijiye

kal main jo ye kaha ki kisi ke alam se aah
mar jaiye bas aur na kuchh kaam kijiye

to wo suna ke mujh ko ye kahta hai ek se
kya lutf hai kisi ko jo badnam kijiye

is zindagi se khinchiye 'mehnat' gar apna hath
phaila ke panw zauq se aaram kijiye