hai andhera to samajhta hun shab-e-gesu hai
band aankhen hain ki ai yar nazar mein tu hai
dam-ba-dam kahte ho kyun fikr mein nahaq tu hai
gham ko kya kaam mera sar hai mera zanu hai
is liye dil ke talab karne pe main rota hun
tar na ho aap ka daman ki ye ek aansu hai
aaj phir kal ki tarah hijr ki raat aati hai
dekhiye kya ho wahi dil hai wahi pahlu hai
ek muddat ka hai qissa kisi jaanib dil tha
ye nahin yaad ye pahlu hai ki wo pahlu hai
yaad-e-ayyam-e-guzishta mein na taDpun kyunkar
ki abhi tak mere bistar mein tumhaari lau hai
mujh ko manea hai adab zabh mein kyunkar taDpun
o sitamgar mere sine pe tera zanu hai
hai ayan dil ke dhaDakne se kisi ki ulfat
aaj-kal aap ke pahlu mein mera pahlu hai
ho gaya hai jo mere dil ka satana manzur
aaj-kal aap ki har baat mein ek pahlu hai
tark-e-ulfat to kuchh aasan nahin mushkil hai 'rashid'
roko aahon ko zara in pe agar qabu hai
Ghazal
Hai andhera to samajhta hun shab-e-gesu hai
Rasheed lakhnavi