hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka
tasawwur hai mera ustad bahzad aur mani ka
ghanimat samjho ye mil baiThna yaran-e-jaani ka
bharosa kya hai duniya mein do-roza zindagani ka
nazakat ho gai zarbul-masal un ki zamane mein
bhala ho ya uluhi is hamari saKHt-jaani ka
hai aks is chashm-e-pur-nam mein kisi aabi dupaTTe ka
banaya hai makan hum ne ajab pani mein pani ka
ghazab ka kaT kar karti hain adaen us pari-wash ki
ubhaaron par hai joban aur aalam hai jawani ka
umangon ki kasak bechain karti hai unhen lekin
nazakat rok deti hai irada naujawani ka
shab-e-furqat jo ThanDe ThanDe ho jae visal apna
guman ho maut par apni hayat-e-jawedani ka
ye dil kyun bujh gaya soz-e-firaq-e-shoala-ruyan mein
tamasha hai kiya hai aag ne yan kaam pani ka
KHayal ek chashm-e-maigun ka sada masrur rakhta hai
yahan kya kaam hai saqi sharab-e-arghawani ka
yahi hain dekh lo wo shair-e-moajiz-bayan 'kaifi'
zamane mein hai charcha aaj jin ki KHush-bayani ka
Ghazal
Hai aks-e-aina dil mein kisi bilqis-e-sani ka
Dattatriya Kaifi