hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi
magar ab mila ke to dekh lun zara ek qatra-e-agahi
meri KHamushi meri be-hisi yahi mera raaz-e-fasurdagi
kabhi so gaya hun to jag uThi hai ye dil ki choT dabi dabi
hai ye kaisi sohbat mai-kashan ki har ek jam lahu lahu
yahi dosti hai to ai KHuda mujhe ras aae na dosti
hai malul mujh se dua-e-maut ki sath us ka na de saka
mere raste mein jo aa gai yahi zindagi yahi zindagi
zara aa ke samne baiTh ja meri chashm-e-tar ke qarib aa
mere aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami
yahi sath sath mere raha main isi ka pa na saka pata
kabhi har qadam pe mujhe mila yahi aadmi yahi aadmi
mere sath sath chale the sab mera sath koi na de saka
mere ham-safar mere ham-nazar meri KHud-sari meri sar-kashi
meri samt aur bhi saqiya wo jo bund bund mein zahar tha
jise aur koi na pi saka wo sharab mere hi munh lagi
main shahid-e-zulmat-e-shab sahi meri KHak ko yahi justuju
koi raushni koi raushni koi raushni koi raushni
Ghazal
Hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi
Khalilur Rahman Azmi