hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
phir bhi rahta hai hamein ehsas-e-tanhai bahut
ab ye socha hai ki apni zat mein simTe rahen
hum ne kar ke dekh li sab se shanasai bahut
munh chhupa kar aastin mein der tak rote rahe
raat Dhalti chandni mein us ki yaad aai bahut
qatra qatra ashk-e-gham aankhon se aaKHir bah gae
hum ne palkon ki unhen zanjir pahnai bahut
apna saya bhi juda lagta hai apni zat se
hum ne us se dil lagane ki saza pai bahut
ab to sail-e-dard tham jae sakun dil ko mile
zaKHm-e-dil mein aa chuki hai ab to gahrai bahut
sham ke sayon ki surat phailte jate hain hum
lag rahi tang hum ko ghar ki angnai bahut
aaina ban ke wo surat samne jab aa gai
aks apna dekh kar mujh ko hansi aai bahut
wo sahar tarikiyon mein aaj bhi ru-posh hai
jis ke gham mein kho chuki aankhon ki binai bahut
main to jhonka tha asir-e-dam kya hota 'kalim'
us ne zulfon ki mujhe zanjir pahnai bahut

Ghazal
Hai agarche shahr mein apni shanasai bahut
Kaleem Usmani