hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi
koi bhi chiz nahin ghar ki salamat baqi
main bhala hath duaon ko uThata kaise
us ne chhoDi hi nahin koi zarurat baqi
us ne TuTe hue TukDon se bhi pahchan liya
hai bikhar kar bhi miyan meri nafasat baqi
be-nishan koi na ujDe hue khanDaraat rahen
un mein rahti hai abhi ghar ki shabahat baqi
pahle jazbaat chhalak paDte the KHamoshi se
ab to lahjon mein bhi hai KHali murawwat baqi
KHud ko aadat koi paDne hi nahin deta hun
meri ab tak hai hamesha ki ye aadat baqi
mere chhune se kali phul bani jati hai
mere hathon mein abhi tak hai shararat baqi
main nazar aaun to dikhta nahin suraj 'aKHtar'
ek hi rah gai chhoTi si karamat baqi
Ghazal
Hai abhi tak isi wahshat ki inayat baqi
Junaid Akhtar