hai ab to ye dhun us se main aankh laDa lunga
aur chum ke munh us ka sine se laga lunga
gar tir lagawega paiham wo nigah ke to
main us ki jarahat ko hans hans ke uTha lunga
dil jate udhar dekha jab main ne 'nazir' us ko
roka are wo tujh ko lega to main kya lunga
wan abru-o-mizhgan ke hain tegh-o-sinan chalte
Tuk soch to main tujh ko kis kis se bacha lunga
paD jawegi jab shah wo ai dil to bhala phir main
kya aap ko thamunga kya tujh ko sanbhaalunga
Ghazal
Hai ab to ye dhun us se main aankh laDa lunga
Nazeer Akbarabadi