hai ab ki fasl mein rang bahaar aur hi kuchh
hua hai naqsha-e-shahr-o-dayar aur hi kuchh
na shahsawar na ghazni na karwan koi
ufuq ke par uTha tha ghubar aur hi kuchh
shagufe aaj bhi khulte hain kal bhi khulte the
hai is chaman ki KHizan aur bahaar aur hi kuchh
hamare waste hamdam qarar-e-dil mat DhunDh
ki pa gaya hai dilon mein qarar aur hi kuchh
na shaKH ka na samar ka na aashiyan ka malal
ki main ne tujh pe kiya tha nisar aur hi kuchh
suna hai tangi-e-kunj-e-lahad ka bhi ahwal
hai aaj arz-o-sama ka fishaar aur hi kuchh
nawa-e-dil mein wo aahang dil-kusha na raha
suKHan ne rang kiya iKHtiyar aur hi kuchh
Ghazal
Hai ab ki fasl mein rang bahaar aur hi kuchh
Shaanul Haq Haqqi