hai aaTh pahar tu jalwa-numa timsal-e-nazar hai partaw-e-ruKH
aariz hai qamar KHurshid jabin shab-e-zulf-e-sahar hai partaw-e-ruKH
aaankhon mein hua hai ghar tera dil kahta hai rakh har dam parda
ho chashm-e-tamanna kyun kar wa aashiq ki nazar hai partaw-e-ruKH
jab madd-e-nazar aghyar the wan tarik tha yan aaankhon mein jahan
raushan hai charagh-e-ruh-e-rawan kya aaj idhar hai partaw-e-ruKH
ki fikr magar bais na khula ai lala-ruKH-e-be-mehr-o-wafa
batla to ye dil ka dard hai kya gar dagh-e-jigar hai partaw-e-ruKH
ghash koi kisi ko hai sakta hai nur-e-KHuda tera jalwa
ho daKHl tere ghar mein kis ka yan hajib-e-dar hai partaw-e-ruKH
uTh aashiq-e-muztar sajde kar aai hai shab-e-maqsad ki sahar
wo dekhte hain ghurfe se idhar ai KHak-basar hai partaw-e-ruKH
shohra hai bahaar-e-ariz ka bulbul ki tarah aashiq hain fida
hai bagh-e-jawani ruh-afza barg-e-gul-e-tar hai partaw-e-ruKH
jis se ho aansu KHun-e-jigar ban jae aqiq-o-lal-o-guhar
KHurshid-o-qamar aur sim-o-zar ai jaan magar hai partaw-e-ruKH
betab 'habib'-e-muztar hai hairan kabhi gah shashdar hai
phirta hai gul-e-KHurshid-sifat munh us ka jidhar hai partaw-e-ruKH
Ghazal
Hai aaTh pahar tu jalwa-numa timsal-e-nazar hai partaw-e-ruKH
Habeeb Musvi