hai aarzu ye ji mein us ki gali mein jawen
aur KHak apne sar par man manti uDawen
shor-e-junun hai hum ko aur fasl-e-gul bhi aai
ab chaak kar gareban kyunkar na ban mein jawen
be-dard log sab hain hamdard ek bhi nahin
yaro hum apne dukh ko ja kis ke tain sunawen
ye aarzu hamari muddat se hai ki ja kar
qatil ki tegh ke tain apna lahu chaTawen
KHajlat se KHun mein Dube ya aag se lage uTh
lala ke tain chaman mein gar dagh-e-dil dikhawen
be-iKHtiyar sun kar mahfil mein shama ro de
hum baat soz-e-dil ki gar Tuk zaban pe lawen
yahan yar aur bardar koi nahin kisi ka
duniya ke bich 'taban' hum kis se dil lagawen
Ghazal
Hai aarzu ye ji mein uski gali mein jawen
Taban Abdul Hai