اردو हिंदी
Hai aarzu ki aur to kya KHud KHuda na ho | Shaahi Shayari
hai aarzu ki aur to kya KHud KHuda na ho

Ghazal

Hai aarzu ki aur to kya KHud KHuda na ho

Manzoor Arif

;

hai aarzu ki aur to kya KHud KHuda na ho
jab wo ho mere pas koi dusra na ho

diwar se kahi thi jo us tak pahunch gai
is baat par hi mujh se kahin wo KHafa na ho

aahaT bhi koi pa na sake ghar se yun nikal
har samt dekh-bhaal koi dekhta na ho

saya bhi sath le ke na ja ku-e-yar mein
ham-zad bhi safar mein kahin runuma na ho

wo rah kar talash ki jo sanglaKH ho
DhunDe koi to tera kahin naqsh-e-pa na ho

mumkin kahan ki aaKHir-e-shab dar pe ho koi
dastak si ho rahi hai jo bahar hawa na ho