اردو हिंदी
Hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain | Shaahi Shayari
hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain

Ghazal

Hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain

Obaidur Rahman

;

hai aaj andhera har jaanib aur nur ki baaten karte hain
nazdik ki baaton se KHaif hum dur ki baaten karte hain

tamir-o-taraqqi wale hain kahiye bhi to un ko kya kahiye
jo shish-mahal mein baiThe hue mazdur ki baaten karte hain

ye log wahi hain jo kal tak tanzim-e-chaman ke dushman the
ab aaj hamare munh par ye dastur ki baaten karte hain

ek bhai ko duje bhai se laDne ka jo dete hain paigham
wo log na jaane phir kaise jamhur ki baaten karte hain

ek KHwab ki wadi hai jis mein rahte hain hamesha khoe hue
dharti pe nahin hain jin ke qadam wo tur ki baaten karte hain

hum ko ye gila mahbub unhen afsana-e-bazm-e-aish-o-tarab
shikwa ye unhen hum un se dil-e-ranjur ki baaten karte hain

kya KHub ada hai un ki 'obaid' andaz-e-karam hai kitna hasin
majbur ke haq se na-waqif majbur ki baaten karte hain