hai aaine ke muqabil jo hu-ba-hu kya hai
ye mera rup nahin hai to jalwa-ru kya hai
mere badan ki ragon mein sharab ki surat
jo sar paTakta guzarta hai ju-ba-ju kya hai
munafarat ke KHasare mein KHush-KHiram rahe
sarisht-e-adam-e-KHaki mein KHu-ba-KHu kya hai
magan hai aur kisi soch mein mera wijdan
main apne aap se maKHfi hua hun tu kya hai
hatak hai baada-kashon ki baDhaen dast-e-sharab
nazar se uTh nahin pae to phir subu kya hai
hamein to koi tafarruq nazar nahin aata
sarab-e-mehr-e-tamanna ya mah-ru kya hai
tumhaara nam hai 'ashraf' suKHan-taraaz magar
tumhin kaho ki ye andaz-e-guftugu kya hai
Ghazal
Hai aaine ke muqabil jo hu-ba-hu kya hai
Ashraf Ali Ashraf