haft aflak se aage kahin kuchh ho to kahun
had-e-idrak se aage kahin kuchh ho to kahun
main ne jis zat ko labbaik kaha hai us ke
jalwa-e-pak se aage kahin kuchh ho to kahun
jis pe paiwand hi paiwand nazar aate the
aisi poshak se aage kahin kuchh ho to kahun
mujh se puchhe koi insan kahan tak pahuncha
azm-e-bebak se aage kahin kuchh ho to kahun
han meri zist ka hasil gham-e-dauran to nahin
chashm-e-namnak se aage kahin kuchh ho to kahun
jis taraf dekhiye virani hi virani hai
KHas-o-KHashak se aage kahin kuchh ho to kahun
har taraf ham-watanon KHun-KHarabe ke siwa
chashm-e-saffak se aage kahin kuchh ho to kahun
aalam-e-KHak meri zat ka har zarra hai
aalam-e-KHak se aage kahin kuchh ho to kahun
mere aflak se aage to faqat hun main hi
mere aflak se aage kahin kuchh ho to kahun
jaan ka hai apni jagah ek tasawwur 'rumi'
jasad-e-KHak se aage kahin kuchh ho to kahun
Ghazal
Haft aflak se aage kahin kuchh ho to kahun
Rumana Rumi