'hafiz' wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha
wafur-e-aish mein andesha-e-maal na tha
bura hi kya hai baratna purani rasmon ka
kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha
naya hai ab ke baras kuchh bahaar ka aalam
junun ka zor to aisa guzishta-sal na tha
KHayal tum ne dilaya jo guzri baaton ka
malal ab wo hua pahle jo malal na tha
wo din hain yaad ki barson thi KHud-faramoshi
ye dhun kisi ki thi apna bhi kuchh KHayal na tha
tum aa gae ki meri jaan bach gai warna
kuchh aaj maut ke aane mein ehtimal na tha
koi to wajh-e-masarrat hai go kahen na kahen
ki yun 'hafiz' ka chehra kabhi bahaal na tha
Ghazal
Hafiz wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha
Hafeez Jaunpuri