hadis-e-dil bayan karne mein kitni der lagti hai
kisi ko raazdan karne mein kitni der lagti hai
koi hai jis ke dil mein aaj tak hum ghar na kar pae
kisi ko mehrban karne mein kitni der lagti hai
wo jadugar ki surat jhuT ko sach kar dikhate hain
kisi ko bad-guman karne mein kitni der lagti hai
koi to kashmakash hai dil mein shayad hashr hai barpa
dulhan ko warna han karne mein kitni der lagti hai
kisi bewa ke dil se ye haqiqat puchhiye ja kar
ki bachchon ko jawan karne mein kitni der lagti hai
bulandi kha gai meri jawani tum ye kahte ho
zamin ko aasman karne mein kitni der lagti
agar ye dil sitamgar ko sitamgar man le 'talib'
to dil ko ham-zaban karne mein kitni der lagti hai
Ghazal
Hadis-e-dil bayan karne mein kitni der lagti hai
Ayaz Ahmad Talib