اردو हिंदी
Hadd-e-sitam na kar ki zamana KHarab hai | Shaahi Shayari
hadd-e-sitam na kar ki zamana KHarab hai

Ghazal

Hadd-e-sitam na kar ki zamana KHarab hai

Shabab Lalit

;

hadd-e-sitam na kar ki zamana KHarab hai
zalim KHuda se Dar ki zamana KHarab hai

itna na ban-sanwar ki zamana KHarab hai
maili nazar se Dar ki zamana KHarab hai

bahna paDega waqt ke dhaare ke sath sath
ban us ka ham-safar ki zamana KHarab hai

phislan qadam qadam pe hai bazar-e-shauq mein
chal dekh-bhaal kar ki zamana KHarab hai

kuchh un pe ghaur kar jo taqaze hain waqt ke
un se nibah kar ki zamana KHarab hai

aa gharq-e-jam kar den mile hain jo ranj-o-gham
paimana mera bhar ki zamana KHarab hai

gar be-Thikana hain to nahin sharmsar hum
ab kya banaen ghar ki zamana KHarab hai

mehnat shuur tajraba talim-o-tarbiyat
sab kuchh hai be-asar ki zamana KHarab hai

do roTiyan nahin na sahi ek hi sahi
is par hi sabr kar ki zamana KHarab hai