hadd-e-parwaz-e-jamal aap ki angDai hai
is se aage mere ehsas ki ranai hai
ab safar aur bhi dushwar hua ham-safaro
tirgi rah ki zehnon mein simaT aai hai
the jo mahbus to aafaq-nigahi thi nasib
hue aazad to har chiz ilaqai hai
hum kabhi roe the jis baat pe pahron ai 'naqsh'
aaj us baat pe rah rah ke hansi aai hai
Ghazal
Hadd-e-parwaz-e-jamal aap ki angDai hai
Maqbool Naqsh