hadd-e-nigah sham ka manzar dhuan dhuan
chhane laga hai zehn ke andar dhuan dhuan
girti hui phuwar banati hui dhanak
kuchh der baad rah gai ho kar dhuan dhuan
lahron se khelta hua kirnon ka ek hujum
uThta hua sa dur ufuq par dhuan dhuan
uDte hue parind KHalaon mein gum hue
phir rah gaya nigah mein jam kar dhuan dhuan
kanon mein kashtiyon ki sada gunjne lagi
phir samne hai ek samundar dhuan dhuan
Ghazal
Hadd-e-nigah sham ka manzar dhuan dhuan
Iqbal Anjum