اردو हिंदी
Hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun | Shaahi Shayari
hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun

Ghazal

Hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun

Mukhtar Javed

;

hadaf hun dushman-e-jaan ki nazar mein rahta hun
kise KHabar hai qafas mein ki ghar mein rahta hun

idhar-udhar ke kinare mujhe bulate hain
magar main apni KHushi se bhanwar mein rahta hun

na main zamin hun na tu aaftab hai phir bhi
tere tawaf ki KHatir safar mein rahta hun

main saya-dar nahin is ke bawajud ye dekh
pahan ke dhup teri rahguzar mein rahta hun

ye kaisi chiDh hai mujhe tirgi ke aalam se
ki main charagh hun lekin sahar mein rahta hun

mujhe gharaz hai faqat us ki istaqamat se
bahaar ho ki KHizan main shajar mein rahta hun

mujhe shanaKHt karo mere shahkaron mein
main KHal-o-KHat se ziyaada hunar mein rahta hun