had ho koi to sabr tere hijr par karen
aaKHir hum ek haal mein kab tak basar karen
ahl-e-nazar wasia gar apni nazar karen
zarre naqab ulaT ke tujhe jalwa-gar karen
fitrat har e'tibar se hai ham-nawa-e-husn
aamin tum ko to duaen asar karen
tum ne to apne husn ko mahfuz kar liya
hum kis ke sath umr-e-mohabbat basar karen
'simab' hum mein aib o hunar KHud hain be-hisab
hum kya kasi ke aib o hunar par nazar karen
Ghazal
Had ho koi to sabr tere hijr par karen
Seemab Akbarabadi