had-e-ufuq par sara kuchh viran ubharta aata hai
manzar ke kho jaane ka imkan ubharta aata hai
pas-manzar mein 'feed' hue jate hain insani kirdar
focus mein rafta rafta shaitan ubharta aata hai
pichhe pichhe Dub rahi hain umr-e-rawan ki manfaten
aage aage ek bhaari nuqsan ubharta aata hai
jaise main dabta jata hun un aaankhon ke bojh tale
dil par do ashkon ka ek ehsan ubharta aata hai
ek tashannuj ek hichki phir ek nili zahrili qai
kya kuchh likh dene jaisa haijaan ubharta aata hai
'saz' meri jaanib uThti hai raat gae angusht-e-alast
ruh mein ek bhula-bisra paiman ubharta aata hai
Ghazal
Had-e-ufuq par sara kuchh viran ubharta aata hai
Abdul Ahad Saaz