had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati
nahin jati nazar ki pa-ba-jaulani nahin jati
lab-e-KHamosh sahil se sukun ka dars milta hai
magar amwaj-e-dariya ki pareshani nahin jati
jahan pahle kabhi sab gosh-bar-awaz rahte the
wahan bhi ab meri aawaz pahchani nahin jati
haqiqat kuchh to apni aabru ka pas ho tujh ko
hazaron pairahan hain phir bhi uryani nahin jati
nahin tazim ke laeq nahin takrim ke qabil
wo dar jis ki taraf KHud khinch ke peshani nahin jati
sukun hota to hai phir bhi sukun hasil nahin hota
ki jaane ki tarah apni pareshani nahin jati
Ghazal
Had-e-imkan se aage apni hairani nahin jati
Munawwar Lakhnavi