habs tari hai musalsal kaisa
ab ke barsa hai ye baadal kaisa
jis se ehsas ki sadiyan guzrin
tha judai ka wo ek pal kaisa
le ke nazrana-e-jaan kaun aaya
jashn sa hai sar-e-maqtal kaisa
teri tausif se KHali ho agar
lafz ho jata hai mohmal kaisa
wahi din raat mohabbat ka junun
dil bhi kam-baKHt hai pagal kaisa
us ne to lab abhi khole bhi nahin
shor-e-naghma hai musalsal kaisa
un ke aane ki KHabar se 'shair'
dil hua jata hai bojhal kaisa
Ghazal
Habs tari hai musalsal kaisa
Shaayar Lakhnavi