habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin
rauzan-e-diwar-e-zindan ki hawa bhi kam nahin
shorish-e-zanjir-e-pa par hain agar pabandiyan
halke halke jumbish-e-zanjir-e-pa bhi kam nahin
gar sar-e-maqtal na ho zikr-e-butan ka hausla
hujra-e-tarik mein yaad-e-KHuda bhi kam nahin
rahraw-e-shab kyun charagh-e-mah se daryuza-gari
raat andheri ho to jugnu ki ziya bhi kam nahin
lakh mohkam ho hisar-e-marhabi-o-antari
ghaziyon ka bazu-e-KHaibar-kusha bhi kam nahin
ahd-e-gul se sazish-e-baad-e-KHizan bhi kam na thi
shaKH-e-gul se sozish-e-barq-e-bala bhi kam nahin
kya hua gar waiz-o-mulla ke dil hain be-charagh
gosha-e-masjid mein nanha sa diya bhi kam nahin
lazzat-e-baada hai jaan-parwar magar ai ahl-e-zauq
zahr-e-ashk-o-qatra-e-KHun ka maza bhi kam nahin
Ghazal
Habs ke aalam mein mahbas ki faza bhi kam nahin
Rais Amrohvi