habs-e-darun pe jism-e-giran-bar sang tha
wahshat pe meri arsa-e-afaq tang tha
kuchh dur tak sahab-e-rifaqat raha rafiq
phir ehtamam-e-barish-e-tir-o-tafang tha
sahmi hui faza-e-ghazalan ke ru-ba-ru
jangal tha qahqahe the KHuda tha main dang tha
ab shahr-e-justuju mein tere baad kuchh nahin
aabaadi-e-badan mein jo dil tha malang tha
ji ye kare hai aaj ki tanha jien maren
kab mere iztirab ka ye rang-Dhang tha
har sham muzmahil si sawera bujha bujha
tujh se pare jo dekha yahi ek rang tha
Ghazal
Habs-e-darun pe jism-e-giran-bar sang tha
Akram Naqqash