hathon se mere chhin kar dil ka maal le gai
jaane kahan kahan mujhe gardish-e-haal le gai
kaam na koi aa saka lekin ye aankh ki nami
silsila-e-ghubar se mujh ko nikal le gai
mauj-e-hawas ke dosh par koh-e-siyah tak gaya
mujh ko hawa-e-shauq phir ta-ba-zawal le gai
ungliyan toDe koi kar le zaban sang ki
dekhiye sabqat-e-sharaf saut-e-bilal le gai
tez hawa uDa chale jis tarah barg-e-zard ko
us ki hansi bhi apne sath mera sawal le gai
samne bahr-e-be-karan qaidi yak jazira mein
phir bhi main us se ja mila mauj-e-KHayal le gai
Ghazal
Hathon se mere chhin kar dil ka maal le gai
Aleem Afsar