hathon mein aaj ki shab mehndi lagaiyega
samjhe ye rang hum bhi kuchh rang laiyega
ye shoKHiyan tumhaari likkhi hui hain dil par
aaKHir kabhi to mere qabu mein aaiyega
phir main bhi kuchh kahunga dekho zaban roko
phir munh chhupa ke mujh se aansu bahaiyega
zat-e-sharif ho tum main KHub jaanta hun
tufan aur koi mujh par uThaiyega
han shama ka main gul hun naseh ki guftugu hun
baDh jaunga jahan tak mujh ko ghaTaiyega
ummid-war baqi kuchh aur rah gae hain
phir bhi naqab-e-gesu munh se haTaiyega
be-wajh ye nahin hai andaz guftugu ka
phir kal ki tarah ai jaan baaten sunaiyega
main hun mizaj-qatil lazim hai KHauf mujh se
jhuTi qasam nahin hun har-dam jo khaiyega
ye kyun hai na-umidi dargah-e-kibriya se
jo kuchh ki aarzu hai waisa hi paiyega
mushtaq ne to jaan di gul-gu libas kyun ho
ye rang-e-nau-arusi kis ko dikhaiyega
dekho raqib aae dekho raqib aae
kya munh ab aap ka hai jo munh chhupaiyegaga
hum KHub jaante hain ustadiyan tumhaari
mahfil mein baiThe baiThe aankhen milaiyega
aaKHir kuchh intiha bhi be-rahmiyon ki sahab
kahiye to aashiqon ko kab tak sataiyega
mumkin nahin jo niyyat badle tumhaari ai jaan
kya qahr aaj ki shab hum par na laiyega
kuchh lahza aur Thahro ta-ruh tan se nikle
aaegi aur aafat gar aap jaiyega
samjhe hue hain jo kuchh dil mein bhare hue hai
kahe ko aaiyega kahe ko aaiyega
aao to jald aao dam-bhar ke baad ai jaan
mujh ko na paiyega mujh ko na paiyega
sun lijiyega jo kuchh muddat se aarzu hai
fursat ho gar mayassar dam-bhar ko aaiyega
kuchh dur main nahin hun lazim hai yaad karni
manind-e-dil mujhe bhi pahlu mein paiyega
ThanDi kabhi na hongi kya garmiyan tumhaari
aaKHir 'nasim' ka dil kab tak jalaiyega
Ghazal
Hathon mein aaj ki shab mehndi lagaiyega
Naseem Dehlvi