hath uThata hun main ab dua ke liye
tum bhi aamin kahna KHuda ke liye
mujh ko is nim-jaan dil pe hairat hai jo
zindagi chahta hai KHata ke liye
aafaten jis qadar ho sakin baKHsh do
waqf hai dil mera har bala ke liye
mujh tak aane mein zahmat na ho lao main
rah hamwar kar dun qaza ke liye
naql-e-fariyaad se meri kya faeda
kuchh asar bhi ho dil ki sada ke liye
ibtida gham ki jab ban gai zindagi
mujh ko marna paDa intiha ke liye
'shauq' un ke sitam ki latafat na puchh
dil taDapta hai ab tak jafa ke liye
Ghazal
Hath uThata hun main ab dua ke liye
Shauq Salki