hath us ke na aaya daman-e-naz
ishq ko sunte hi the dast-daraaz
bait-e-abru hai maKHzan-e-asrar
KHat hai chehre ka sharh-e-gulshan-e-raaz
dekh kar chashm KHun-e-dil rona
kahin ifsha na ho kisi ka raaz
kyun na badnam hun jahan mein main
dil hai bad-KHwah chashm hai ghammaz
ek dil ke liye ye fauj-kashi
ishwa-o-naz ghamza-o-andaz
jab bulata ayaz ko mahmud
kuchh na kahta siwae banda-nawaz
jab tak us se niyaz-e-dil na kahun
nahin paDhne ka ai 'raza' main namaz
Ghazal
Hath uske na aaya daman-e-naz
Raza Azimabadi