اردو हिंदी
Hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga | Shaahi Shayari
hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga

Ghazal

Hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga

Goya Faqir Mohammad

;

hath se kuchh na tere ai mah-e-kanan hoga
hath jo hoga to meri maut ka saman hoga

saqiya hijr mein mai-KHana bayaban hoga
daur-e-saghar bhi ram-e-chashm-e-ghazalan hoga

ai junun phir mujhe KHush aane lagi uryani
ab na daman hi rahega na gareban hoga

phir chalenge tera qad dekh ke gulzaron mein
phir har ek sarw-o-saman sarw-e-charaghan hoga

ghar mein dil phir mera ghabrane laga aap se aap
ai junun phir ye makan KHana-e-zindan hoga

phir KHush aati hai mere dil ko shab-e-mah ki sair
ishq phir chand se mukhDe ka do-chandan hoga

in dinon phir tujhe 'goya' jo hai chupki si lagi
phir irada taraf-e-mulk-e-KHamoshan hoga