hath se haihat kya jata raha
marne jine ka maza jata raha
zindagi ka aasra jata raha
hae jine ka maza jata raha
le gaya sarmaya-e-sabr-o-qarar
maya-dar ab sabr ka jata raha
umr bhar ki sab kamai luT gai
zist ka barg-o-nawa jata raha
dil agar baqi raha kis kaam ka
chain dil ka ai KHuda jata raha
zindagani ki halawat uTh gai
dana-pani ka maza jata raha
jo sahaara tha dam-e-darmandagi
wo buDhape ka asa jata raha
kijiye kis baat ki ab aarzu
aarzu ka muddaa jata raha
gul hua apna charagh-e-arzu
nur ghar ka ai KHuda jata raha
hae kaisa luT gaya bagh-e-murad
kya shajar phula-phala jata raha
roiye kya zindagani ko 'zahir'
maut ka bhi ab maza jata raha
Ghazal
Hath se haihat kya jata raha
Zaheer Dehlvi