hath se hath mila dil se tabiat na mili
aap ke sath meri ek bhi aadat na mili
zindagi waqf usi ke liye kar di nadan
ek lamha jise tere liye fursat na mili
aish-o-aram se kyun kar hamein milti taskin
jab hamein gham se KHushi ranj se rahat na mili
us ko insan to kahte hue sharm aati hai
teri dargah se jise ratti bhi ghairat na mili
jun hi maidan mein hum tan ke sina nikle
koi aafat koi dukh koi musibat na mili
lutf aata hai hamein zulm se Takkar le kar
hashr barpa na hua hae qayamat na mili
kaun ghaTe mein raha faisla duniya degi
jis ko daulat na mili ya jise izzat na mili
lakh bahuton ki lagi kuchh ki lagi das das lakh
'shad' ko puri kisi sher ki qimat na mili

Ghazal
Hath se hath mila dil se tabiat na mili
Shad Bilgavi