hath se dil ro ke khona yaad hai
apni kashti ko Dubona yaad hai
munh chhupa kar mujh ko rona yaad hai
wo KHajil har ek se hona yaad hai
hijr mein wo jaan khona yaad hai
subh hona sham hona yaad hai
marte marte hath sine par rahe
dard ka tham tham ke hona yaad hai
kyun jahan mein aae the samjhe na kuchh
un ka hansna apna rona yaad hai
jagna apna nahin bhola hun main
aur sare ghar ka sona yaad hai
marte dam duniya nihayat tang thi
qabr ka wo ek kona yaad hai
kaun tha baalin pe mast-e-KHwab-e-naz
shama ka ruKHsat wo hona yaad hai
dil mein pani ne laga di aag aaj
wo hinai hath dhona yaad hai
kab na tha 'jawed' aahon mein asar
pher kar munh un ka rona yaad hai
Ghazal
Hath se dil ro ke khona yaad hai
Javed Lakhnvi