hath se chhu kar ye nila aasman bhi dekhte
jo ufuq ke par hain wo bastiyan bhi dekhte
mutmain hain jo bahut khulte dariche dekh kar
wo kisi din band hoti khiDkiyan bhi dekhte
is KHarabe mein bhi mumkin hai koi aabaad ho
ek nazar andar se ye ujDa makan bhi dekhte
aaj jis tan par nazar aati hai zaKHmon ki qaba
kal usi tan par libas-e-parniyan bhi dekhte
sirf aKHbaron ki surKHi tak rahi jin ki nazar
kash wo chehron pe likkhi dastan bhi dekhte
khinch lai hai jinhen is dar pe shoalon ki tapish
kash wo is ghar pe manDlata dhuan bhi dekhte
zaKHm sine par to 'rashid' sah liya hum ne magar
tir ye jis se chala tha wo kaman bhi dekhte
Ghazal
Hath se chhu kar ye nila aasman bhi dekhte
Rashid Mufti