اردو हिंदी
Hath phir baDh raha hai su-e-jam | Shaahi Shayari
hath phir baDh raha hai su-e-jam

Ghazal

Hath phir baDh raha hai su-e-jam

Javed Kamal Rampuri

;

hath phir baDh raha hai su-e-jam
zindagi ki udasiyon ko salam

kaun jaane ye kis ki zulfon mein
ho gae hain asir-e-subh-o-sham

main samajhta hun phir bahaar aai
koi leta hai jab KHizan ka nam

koi ahl-e-junun ko samjha de
aagahi to nahin hai koi dam

sath do-gam to chalo warna
bhul jaegi gardish-e-ayyam