اردو हिंदी
Hath phailao to suraj bhi siyahi dega | Shaahi Shayari
hath phailao to suraj bhi siyahi dega

Ghazal

Hath phailao to suraj bhi siyahi dega

Faza Ibn e Faizi

;

hath phailao to suraj bhi siyahi dega
kaun is daur mein sachchon ki gawahi dega

soz-e-ehsas bahut hai ise kam-tar mat jaan
yahi shoala tujhe baalida-nigahi dega

yun to har shaKHs ye kahta hai khara sona hun
kaun kis rup mein hai waqt bata hi dega

hun pur-ummid ki sab aastin rakhte hain yahan
koi KHanjar to meri pyas bujha hi dega

shab-gazida ko tere is ki KHabar hi kab thi
din jo aaega gham-e-la-mutanahi dega

aaina saf-dil itna bhi nahin ab ki tumhein
asl chehre ke KHat-o-KHal dikha hi dega

tere hathon ka qalam hai jo asa-e-darwesh
yahi ek din tujhe KHurshid-kulahi dega