اردو हिंदी
Hath par hath rakh ke kyun baiThun | Shaahi Shayari
hath par hath rakh ke kyun baiThun

Ghazal

Hath par hath rakh ke kyun baiThun

Vikas Sharma Raaz

;

hath par hath rakh ke kyun baiThun
dhup aaegi koi saya bunun

panw zanjir chahte hain ab
jitni jaldi ho apne ghar lauTun

han ye rut sazgar hai mujh ko
main isi rut mein KHushk ho jaun

ek nashsha hai ye udasi bhi
aur main is nashe ka aadi hun

us ne shadi ka card bheja hai
sochta hun ye imtihan de dun