hath na aai duniya bhi aur ishq mein bhi gumnam rahe
soch ke ab sharminda hain kyun donon mein nakaam rahe
ab tak us ke dam se apni KHush-fahmi to qaem hai
achchha hai jo baat mein is ki thoDa sa ibham rahe
hum ne bhi kuchh nam kiya tha hum ko bhi eazaz mile
ishq mein hum bhi ek muddat tak morid-e-sad-dushnam rahe
mere pas to apne liye bhi aksar koi waqt na tha
han jo faraghat ke lamhe the teri yaad ke nam rahe
waqif-e-haal to hai wo apna munsif-e-jaan-dar sahi
us ke har insaf ka lekin mere sar ilzam rahe
aaj ka din bhi be-masraf si sochon hi mein bit gaya
aaj ke din bhi yun hi paDe phir ghar ke sare kaam rahe
Ghazal
Hath na aai duniya bhi aur ishq mein bhi gumnam rahe
Shabnam Shakeel