اردو हिंदी
Hath mein KHanjar aa sakta hai | Shaahi Shayari
hath mein KHanjar aa sakta hai

Ghazal

Hath mein KHanjar aa sakta hai

Rasa Chughtai

;

hath mein KHanjar aa sakta hai
ya phir saghar aa sakta hai

aankhen zaKHmi ho sakti hain
zarra uD kar aa sakta hai

chhat ke upar sone wale
suraj sar par aa sakta hai

KHwab mein aane wala ek din
KHwab se bahar aa sakta hai

kala jadu karne wala
mashal le kar aa sakta hai

sare manzar chhup sakte hain
aisa manzar aa sakta hai

shayad koi aane wala
lamha behtar aa sakta hai

ghar ka rasta bhulne wala
chaurahe par aa sakta hai

miTTi hijrat kar sakti hai
dariya chal kar aa sakta hai