اردو हिंदी
Hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe | Shaahi Shayari
hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe

Ghazal

Hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe

Ishrat Qadri

;

hath mein jab tak qalam tha tajribe likhte rahe
hum zamin par aasman ke mashware likhte rahe

umr kitni kaT gai hijrat mein socha hi nahin
chehre ki sari lakiren aaine likhte rahe

mausamon ki dastaken chiKHon mein dab kar rah gain
git ki farmaishen thin marsiye likhte rahe

tum na paDhna wo safar-nama jo nok-e-KHar par
ku-ba-ku sahra-ba-sahra aable likhte rahe

hadse jin par moarriKH ki zaban khulti nahin
shahr ki diwar par hum KHun se likhte rahe

kar-nama aur kya karte ye naqqadan-e-asr
nok-e-KHanjar se ghazal par hashiye likhte rahe

kaifiyat shaKH-e-nihaal-e-gham ki 'ishrat' subh-o-sham
aate-jate mausamon ke qafile likhte rahe