hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai
jis ko sab kahte hain mai-KHana wo andar hi to hai
dam mein tair ko le jati hai dane ki talash
phir bhi mazlumi-o-mahrumi muqaddar hi to hai
kaisi kaisi koshishen kar len miyan-e-jang bhi
mard-e-maidan jo bana hai wo sikandar hi to hai
apne KHaliq ki ata par naz hona chahiye
jo hasad rakhte hain un ka haal abtar hi to hai
KHak ke zarre chamakte hain ziya-e-nur se
aasman par jo hai wo KHurshid-e-KHawar hi to hai
chhoDiye bughz-o-adawat to samajh mein aae kuchh
jo 'wasiya' ho raha hai tujh ko bawar hi to hai
Ghazal
Hath mein apne abhi tak ek saghar hi to hai
Fatima wasia Jayasi