اردو हिंदी
Hath mein aaftab pighla kar | Shaahi Shayari
hath mein aaftab pighla kar

Ghazal

Hath mein aaftab pighla kar

Adil Mansuri

;

hath mein aaftab pighla kar
raat bhar raushni se khela kar

yun khule sar na ghar se nikla kar
dekh buDhon ki baat mana kar

aaina aaine mein kya dekhe
TuT jate hain KHwab Takra kar

ek dam yun uchhal nahin paDte
baat ke paintare bhi samjha kar

dekh Thokar bane na tariki
koi soya hai panw phaila kar

unT jaane kidhar nikal bhaga
jalte sahra mein hum ko Thahra kar