hath malwati hain huron ko tumhaari chuDiyan
pyari pyari hai kalai pyari pyari chuDiyan
band kar deti hain sab ko pyari pyari chuDiyan
bolti hain lakh mein baDh kar tumhaari chuDiyan
ai buto sarkash agar ho aatish-e-rang-e-hina
shoala-e-jawwala ban jaen tumhaari chuDiyan
barhami halqa-bagoshon ki unhen manzur hai
phuT Dalwati hain lakhon mein tumhaari chuDiyan
huron ki aankhon ke halqe ai pari maujud hain
in butanon se chaDhao pyari pyari chuDiyan
dil mein chhed kar KHun ki bundon se har reza bhare
TuT kar ban jaen bunde ki kaTari chuDiyan
sarw-qamat hain hazaron dam-e-ulfat mein asir
tauq-e-qumri hain tumhaari pyari pyari chuDiyan
sadqe hoti hain barabar un kalai pahunchon par
gird phirti hain KHushi se bari bari chuDiyan
dast-e-nazuk ne zamane ko kiya halqa-ba-gosh
kya khule bandon nazar aain tumhaari chuDiyan
ai falak un ko nahin bhata sitaron ka bhi joD
kahte hain meri bala pahne kunwari chuDiyan
ru-e-raushan par jo tum ne hath rakha naz se
chand ka haala nazar aain tumhaari chuDiyan
huren bhejengi tujhe ai rashk-e-gul firdaus se
laegi mashshata-e-fasl-e-bahaari chuDiyan
kyun na nikle nok KHun-rezi ke har andaz mein
lauT kar bhi dil mein chubhti hain tumhaari chuDiyan
bal nikala saikDon bankon ka dast-e-naz se
bank ke fan mein huin yakta tumhaari chuDiyan
KHun ki bunden bani hain chunniyan yaqut ki
dil mein chubh kar de rahi hain zaKHm-e-kari chuDiyan
kyun na hon halqa-ba-gosh aa kar hasinan-e-bahisht
huron ke kanon ki baali hain tumhaari chuDiyan
main ne hatha-pai jab ki sard-mohre se kaha
garm-joshi se huin ThanDi hamari chuDiyan
dekh lo ai gul-ruKHo murghan-e-dil paband hain
baal ke phande ki surat hain tumhaari chuDiyan
karte hain apne zabanon mein tere hathon ka wasf
bolti hain ek munh ho kar sitari chuDiyan
har sitare ki chamak nur-e-jahan-e-husn hai
rakhti hain hukm-e-jahangiri tumhaari chuDiyan
jaan paD jati hai dast-e-naz se har chiz mein
rang ban kar chaDhti hain hathon mein sari chuDiyan
go guhar ho ai pari naz-e-nigah-e-hur ka
ainak-e-rizwan ki halqa hain tumhaari chuDiyan
kar ke hatha-pai Doli mein kiya un ko sawar
saf ThanDi ho gain waqt-e-sawari chuDiyan
bundon ke halqe nahin paDte hain ai gul nahr mein
Dalta hai hindu-e-abr-e-bahaari chuDiyan
KHun lakhon ka kiya karte hain har jhankar se
KHub sachcha joD chalti hain tumhaari chuDiyan
ghair DewDhi par kiya karte hain aaraish ka zikr
halqa-e-bairun-e-dar Thahri tumhaari chuDiyan
naz se farmate hain lun kis tarah tera salam
hath uTh sakte nahin aisi hain bhaari chuDiyan
utri paDti hain phisal kar dast-e-nazuk se mudam
kis tarah Thahren kalai mein tumhaari chuDiyan
mar Dala aatish-e-gham ne jala kar ai 'munir'
ThanDi kar din sog mein us gul ne sari chuDiyan
Ghazal
Hath malwati hain huron ko tumhaari chuDiyan
Muneer Shikohabadi