اردو हिंदी
Hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad | Shaahi Shayari
hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad

Ghazal

Hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad

Talib Baghpati

;

hath malta hai pashiman-e-jafa mere baad
KHair yun baDh gai tauqir-e-wafa mere baad

KHud se mahjub hai KHud un ki haya mere baad
husn maghmum hai mazur-e-ada mere baad

rang laegi meri aah-e-rasa mere baad
tum mujhe yaad karoge ba-KHuda mere baad

ho gae zard kaf-e-dast-e-nigarin afsos
KHair sarsabz to hai naKHl-e-hina mere baad

sogwari mein hasinon ne baDhae jhule
kitni be-kaif hai sawan ki faza mere baad

kyun nadamat se tah-e-KHak gaDa jata hun
tum ne kis dil se mujhe yaad kiya mere baad

ab kahan hain wo lab-e-baam qamar ke jalwe
un ki surat ko tarasti hai faza mere baad

qabr par lae chaDhane ko meri aaina
yun uThi mayyat-e-andaz-o-ada mere baad

bhul jate hain wo ab rose lagana mehndi
rose pisne ko tarasti hai hina mere baad

mar ke kya chain mile ab ye KHalish hai 'talib'
ba-wafa ban gae arbab-e-jafa mere baad