hath KHali sar-e-bazar liye phirti hai
ruh mein sainkaDon aazar liye phirti hai
be-KHabar hai ki nahin hath mein phuTi-kauDi
man jise god mein bimar liye phirti hai
ek doshiza numaish ka sahaara le kar
kitne be-shakl KHaridar liye phirti hai
noch kar apni haya oDh ke chehre pe fareb
ek gumrah sa kirdar liye phirti hai
hasrat-o-yas ko laDiyon mein piro kar buDhiya
mere bachpan se wahi haar liye phirti hai
khul gaya raaz sitare hain baghawat ke nishan
raat kyun KHauf ke aasar liye phirti hai
zabt shewa hai ba-har-haal hamara warna
har zaban nok pe talwar liye phirti hai

Ghazal
Hath Khaali sar-e-bazar liye phirti hai
Naqqash Abidi