hath KHali hain tere shahr se jate jate
jaan hoti to meri jaan luTate jate
ab to har hath ka patthar hamein pahchanta hai
umr guzri hai tere shahr mein aate jate
ab ke mayus hua yaron ko ruKHsat kar ke
ja rahe the to koi zaKHm lagate jate
rengne ki bhi ijazat nahin hum ko warna
hum jidhar jate nae phul khilate jate
main to jalte hue sahraon ka ek patthar tha
tum to dariya the meri pyas bujhate jate
mujh ko rone ka saliqa bhi nahin hai shayad
log hanste hain mujhe dekh ke aate jate
hum se pahle bhi musafir kai guzre honge
kam se kam rah ke patthar to haTate jate
Ghazal
Hath Khaali hain tere shahr se jate jate
Rahat Indori