hath KHali hai koi kankar uTha
aankh se Thahra hua manzar uTha
KHamushi ka tantana hai har taraf
shor ye kaisa mere andar uTha
kya nahin rakkha tha mere samne
phir bhi sajde se na mera sar uTha
ab bhi mala-mal hai mera hunar
samne se mere sim-o-zar uTha
main bahut nadim hun apne kaam se
meri miTTi se naya paikar uTha
main bhi dekhun mera qatil kaun hai
Dhak na de mera badan chadar uTha
Ghazal
Hath Khaali hai koi kankar uTha
Hamdam Kashmiri