hath jab mausam ke gile ho gae hain
zaKHm dil ke aur gahre ho gae hain
banTte the jo bahaar-e-zindagani
band ab wo bhi dariche ho gae
Dub jaega hamare sath wo bhi
ye jo socha hath Dhile ho gae hain
laj rakhni paD gai hai doston ki
hum bhari mahfil mein jhuTe ho gae hain
ai gham-e-mazi tujhe main nazr kya dun
KHushk aankhon ke kaTore ho gae hain
ab madad KHar-e-bayaban hain karenge
sadd-e-rah pairon ke chhaale ho gae hain
so sakega wo bhi 'aKHtar' chain se ab
hath beTi ke jo pile ho gae hain
Ghazal
Hath jab mausam ke gile ho gae hain
Akhtar Shahjahanpuri